Buzdil Nahi, Akela Tha..
- Vivek Bhatt
- Jul 2, 2020
- 1 min read
Updated: Sep 14, 2020
Kitni aasani se tumne keh diya na ki aisa nahi karna chahiye tha..ye toh buzdilo ki nishaani hai..is duniya main sabki apni dukho aur gamo ki kahani hai..sab aisa thodehi karte hain..zehar khakar sab thodehi marte hain..
Tum usko jaante zarur the par kya apna maante bhi the? Kyuki agar maante toh jaante ki wo aakhiri pal tak lada tha..wo khud hi khud ke virudh khada tha..uski khamoshi bhi cheekhkar kuch keh rahi thi..uski aankhein chupchap sab seh rahi thi..
Uske zehen main kuch bojh sa tha..wo har jagah sukun ko khoj raha tha..thik se khaye hue use arse hue the..chain se soye use barse hue the..tumhe sab dikh toh raha tha na fir kyu andhe bane the? Aur aaj usike janaze ke kandhe bane the..
Ab jab itna bawal hua hai..tumhara usipar sawal hua hai..Kaash ki aaj tum sharminda hote...sansein toh chal rahi hai tumhari..par kash ke tum zinda hote..
Agar us din tumne usko sun liya hota..toh aaj usne zindagi ko chun liya hota..kash ki tum use batate ki har haar main koi seekh hoti hai..aur seekhte seekhte hi toh jeet hoti hai..Kaash ki us din tumne usko tok liya hota..toh aaj shayad usne khud ko rok liya hota..
Agar aaj tum use sun paate toh woh yahi keh raha hota..ki aasan nahi hai apni khud ki jaan lena..ab aur kuch nahi ho sakta ye maan lena..ye mere zindagi ka sabse bada jua hoga..socho mere saath kya kya hua hoga..?
Sach kahu toh MAIN BUZDIL NAHI, AKELA THA...

By Mr. Vivek Bhatt
He is HR by profession and an avid writer who likes to enjoy the little things in life!
Commentaires